aaj mujhko bhi mere ahbab dhoka de gae
aaj mujh ko bhī mire ahbāb dhoka de ga.e
maiñ tavānā shaḳhs thā a.asāb dhoka de ga.e
gaañv kī kuchh laḌkiyāñ apne ghaḌe bharne ga.iiñ
ḳhushk thā paanī vahāñ tālāb dhoka de ga.e
jo nazar aate the aksar un jabīnoñ par tujhe
kyā kareñ māthe ke vo mehrāb dhoka de ga.e
apne hāthoñ se khilātā thā magar vo uḌ ga.e
aaj mujh ko vo mire surḳhāb dhoka de ga.e
maiñ muāfī chāhtā huuñ mujh se ġhalatī ho ga.ī
kuchh bhī mushkil thā nahīñ eraab dhoka de ga.e
aaj se maiñ hijr kāTūñgā tasallī se 'sahar'
jo kabhī dekhe the maiñ ne ḳhvāb dhoka de ga.e
aaj mujh ko bhi mere ahbab dhoka de gae
main tawana shaKHs tha aasab dhoka de gae
ganw ki kuchh laDkiyan apne ghaDe bharne gain
KHushk tha pani wahan talab dhoka de gae
jo nazar aate the aksar un jabinon par tujhe
kya karen mathe ke wo mehrab dhoka de gae
apne hathon se khilata tha magar wo uD gae
aaj mujh ko wo mere surKHab dhoka de gae
main muafi chahta hun mujh se ghalati ho gai
kuchh bhi mushkil tha nahin erab dhoka de gae
aaj se main hijr kaTunga tasalli se 'sahar'
jo kabhi dekhe the main ne KHwab dhoka de gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.