aaj muztar hai meri jaan KHuda KHair kare
aaj muztar hai mirī jaan ḳhudā ḳhair kare
dil meñ hai dard kā tūfān ḳhudā ḳhair kare
raat ko niiñd nahīñ sub.h ko ārām nahīñ
un ke aane kā hai imkān ḳhudā ḳhair kare
vo milāte haiñ nazar ġhair kī sūrat ham se
ye to hai maut kā sāmān ḳhudā ḳhair kare
ye sunā hai ki dikhā.eñge vo jalva apnā
dil ke ab nikleñge armān ḳhudā ḳhair kare
ab mujhe dekh ke katrāne lagī hai duniyā
miT ga.ī vo mirī pahchān ḳhudā ḳhair kare
jis kī fitrat hai jafā aur sitam hai sheva
hai vahī dil kā nigahbān ḳhudā ḳhair kare
uTh ga.e paañv usī raah meñ ab to mere
jis meñ niiñ jī kā hai nuqsān ḳhudā ḳhair kare
maiñ samajh baiThī jise apnī mohabbat kā ḳhudā
vo farishta hai na insān ḳhudā ḳhair kare
aisī maazī ke samundar ne qayāmat Dhaa.ī
dil kī bastī huī vīrān ḳhudā ḳhair kare
aaj muztar hai meri jaan KHuda KHair kare
dil mein hai dard ka tufan KHuda KHair kare
raat ko nind nahin subh ko aaram nahin
un ke aane ka hai imkan KHuda KHair kare
wo milate hain nazar ghair ki surat hum se
ye to hai maut ka saman KHuda KHair kare
ye suna hai ki dikhaenge wo jalwa apna
dil ke ab niklenge arman KHuda KHair kare
ab mujhe dekh ke katrane lagi hai duniya
miT gai wo meri pahchan KHuda KHair kare
jis ki fitrat hai jafa aur sitam hai shewa
hai wahi dil ka nigahban KHuda KHair kare
uTh gae panw usi rah mein ab to mere
jis mein nin ji ka hai nuqsan KHuda KHair kare
main samajh baiThi jise apni mohabbat ka KHuda
wo farishta hai na insan KHuda KHair kare
aisi mazi ke samundar ne qayamat Dhai
dil ki basti hui viran KHuda KHair kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.