aaj phir shaKH se gire patte
aaj phir shāḳh se gire patte
aur miTTī meñ mil ga.e patte
jaane kis dasht kī talāsh meñ haiñ
regzāroñ meñ chīḳhte patte
kal jinheñ āsmāñ pe dekhā thā
aaj pātāl meñ mile patte
apnī āvāz hī se ḳhauf-zada
shāḳh-dar-shāḳh kāñpte patte
mujh ko ik barg-e-ḳhushk bhī na milā
ab kahāñ baaġh meñ hare patte
saare gulshan ko de ga.e sonā
aur ḳhud ḳhaak ban ga.e patte
'kaif' vīrānī-e-gulistāñ bhī
ba.az auqāt le uḌe patte
aaj phir shaKH se gire patte
aur miTTi mein mil gae patte
jaane kis dasht ki talash mein hain
regzaron mein chiKHte patte
kal jinhen aasman pe dekha tha
aaj patal mein mile patte
apni aawaz hi se KHauf-zada
shaKH-dar-shaKH kanpte patte
mujh ko ek barg-e-KHushk bhi na mila
ab kahan bagh mein hare patte
sare gulshan ko de gae sona
aur KHud KHak ban gae patte
'kaif' virani-e-gulistan bhi
baz auqat le uDe patte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.