aaj phir us dil-nashin par aa gaya hai
aaj phir us dil-nashīñ par aa gayā hai
dil jahāñ thā phir vahīñ par aa gayā hai
ek shahzāde ḳhudā ke āsare par
kūfiyoñ kī sarzamīñ par aa gayā hai
sar nigūñ jab se kiyā hai tere aage
āsmāñ merī jabīñ par aa gayā hai
vo jo kal tak haañ meñ haañ kartā thā merī
aaj to vo bhī nahīñ par aa gayā hai
ḳhvāb meñ iblīs ne aa kar batāyā
aadmī aadam ke diiñ par aa gayā hai
tujh se pahle bhī makāñ ḳhālī nahīñ thā
tū magar is ke makīñ par aa gayā hai
mujh se 'momin' kā pata kyā pūchhte ho
aañkh kholo vo yahīñ par aa gayā hai
aaj phir us dil-nashin par aa gaya hai
dil jahan tha phir wahin par aa gaya hai
ek shahzade KHuda ke aasare par
kufiyon ki sarzamin par aa gaya hai
sar nigun jab se kiya hai tere aage
aasman meri jabin par aa gaya hai
wo jo kal tak han mein han karta tha meri
aaj to wo bhi nahin par aa gaya hai
KHwab mein iblis ne aa kar bataya
aadmi aadam ke din par aa gaya hai
tujh se pahle bhi makan KHali nahin tha
tu magar is ke makin par aa gaya hai
mujh se 'momin' ka pata kya puchhte ho
aankh kholo wo yahin par aa gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.