Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aaj se pahle tere maston ki ye KHwari na thi

Aale Ahmad Suroor

aaj se pahle tere maston ki ye KHwari na thi

Aale Ahmad Suroor

MORE BYAale Ahmad Suroor

    aaj se pahle tire mastoñ ye ḳhvārī na thī

    mai baḌī ifrāt se thī phir bhī sarshārī na thī

    ek ham qadroñ pāmālī se rahte the malūl

    shukr hai yāroñ ko aisī koī bīmārī na thī

    zehn parvāz ho shauq rāmish-garī

    koī āzādī na thī jis meñ giraftārī na thī

    josh thā hangāma thā mahfil meñ terī kyā na thā

    ik faqat ādāb-e-mahfil nigah-dārī na thī

    un mahfil meñ nazar aa.e sabhī sho.ala-ba-kaf

    apne dāman meñ magar koī bhī chingārī na thī

    kal isī bastī meñ kuchh ahl-e-vafā hote to the

    is qadar ahl-e-havas garm-bāzārī na thī

    husn kāfir thā adā qātil thī bāteñ sehr thiiñ

    aur to sab kuchh thā lekin rasm-e-dildārī na thī

    aaj se pahle tere maston ki ye KHwari na thi

    mai baDi ifraat se thi phir bhi sarshaari na thi

    ek hum qadron ki pamali se rahte the malul

    shukr hai yaron ko aisi koi bimari na thi

    zehn ki parwaz ho ya shauq ki ramish-gari

    koi aazadi na thi jis mein giraftari na thi

    josh tha hangama tha mahfil mein teri kya na tha

    ek faqat aadab-e-mahfil ki nigah-dari na thi

    un ki mahfil mein nazar aae sabhi shoala-ba-kaf

    apne daman mein magar koi bhi chingari na thi

    kal isi basti mein kuchh ahl-e-wafa hote to the

    is qadar ahl-e-hawas ki garm-bazari na thi

    husn kafir tha ada qatil thi baaten sehr thin

    aur to sab kuchh tha lekin rasm-e-dildari na thi

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    aaj se pahle tere maston ki ye KHwari na thi Nomaan Shauque

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now