aaj tak aazma rahi hai mujhe
aaj tak aazmā rahī hai mujhe
karbalā phir bulā rahī hai mujhe
ḳhuun lalkārtā hai baḌh baḌh kar
saaf āvāz aa rahī hai mujhe
ḳhanjar-e-shimr to vasīla hai
ḳhud-shanāsī miTā rahī hai mujhe
zarra zarra mire liye kuufa
zindagī varġhalā rahī hai mujhe
aaj bhī lau buland hai merī
maut kab se bujhā rahī hai mujhe
aaj tak aazma rahi hai mujhe
karbala phir bula rahi hai mujhe
KHun lalkarta hai baDh baDh kar
saf aawaz aa rahi hai mujhe
KHanjar-e-shimr to wasila hai
KHud-shanasi miTa rahi hai mujhe
zarra zarra mere liye kufa
zindagi warghala rahi hai mujhe
aaj bhi lau buland hai meri
maut kab se bujha rahi hai mujhe
- Book : 1971 ki Muntakhab Shayri (Pg. 80)
- Author : Kumar Pashi, Prem Gopal Mittal
- Publication : P.K. Publishers, New Delhi (1972)
- Edition : 1972
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.