Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aaj tak bahka nahin bahar se diwana tera

Lutf-ur-rahman

aaj tak bahka nahin bahar se diwana tera

Lutf-ur-rahman

MORE BYLutf-ur-rahman

    aaj tak bahkā nahīñ bāhar se dīvāna tirā

    hausle merī nigāhoñ ke haiñ paimāna tirā

    raat bhar shabnam āñkhoñ se sahar maañg meñ

    maiñ jise likhtā rahā vo bhī thā afsāna tirā

    ye tire dariyā salāmat ye tire bādal ba-ḳhair

    luT rahe haiñ ḳhum pe ḳhum sābit hai mai-ḳhāna tirā

    āñsuoñ āb-e-jū haa.il hai varna lā.ūñ maiñ

    merī nazroñ sharar āñkhoñ ḳhas-ḳhāna tirā

    dil meñ dhaḌkan tarah sāñsoñ meñ ḳhushbū tarah

    ab ḳhayāloñ meñ bhī kab aatā hai vo aanā tirā

    avval avval to tamāzat dopahar ke dasht

    āḳhir āḳhir apnī nazroñ ko jhukā jaanā tirā

    reza reza kar ga.ī patthar ko bhī shabnam choT

    haa.e kis dil se magar vo mujh ko samjhānā tirā

    aaj tak bahka nahin bahar se diwana tera

    hausle meri nigahon ke hain paimana tera

    raat bhar shabnam ki aankhon se sahar ki mang mein

    main jise likhta raha wo bhi tha afsana tera

    ye tere dariya salamat ye tere baadal ba-KHair

    luT rahe hain KHum pe KHum sabit hai mai-KHana tera

    aansuon ki aab-e-ju hail hai warna laun main

    meri nazron ka sharar aankhon ka KHas-KHana tera

    dil mein dhaDkan ki tarah sanson mein KHushbu ki tarah

    ab KHayalon mein bhi kab aata hai wo aana tera

    awwal awwal to tamazat dopahar ke dasht ki

    aaKHir aaKHir apni nazron ko jhuka jaana tera

    reza reza kar gai patthar ko bhi shabnam ki choT

    hae kis dil se magar wo mujh ko samjhana tera

    RECITATIONS

    Fahad Husain

    Fahad Husain,

    Fahad Husain

    aaj tak bahka nahin bahar se diwana tera Fahad Husain

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now