aaj tak KHud pe ro rahi hai furaat
aaj tak ḳhud pe ro rahī hai furāt
paanī paanī sī ho rahī hai furāt
ek bachcha zabān-e-ḳhushk aur tiir
aise manzar ko Dho rahī hai furāt
ḳhushk hotī to sabr aa jaatā
paanī hone pe ro rahī hai furāt
kyuuñ na maiñ baḌh ga.ī kināroñ se
ab pashemān ho rahī hai furāt
chand ḳheme atash atash kī sadā
kitnī bechain ho rahī hai furāt
daaġh 'shārib' miTe nahīñ ab tak
kab se dāman ko dho rahī hai furāt
aaj tak KHud pe ro rahi hai furaat
pani pani si ho rahi hai furaat
ek bachcha zaban-e-KHushk aur tir
aise manzar ko Dho rahi hai furaat
KHushk hoti to sabr aa jata
pani hone pe ro rahi hai furaat
kyun na main baDh gai kinaron se
ab pasheman ho rahi hai furaat
chand KHeme atash atash ki sada
kitni bechain ho rahi hai furaat
dagh 'shaarib' miTe nahin ab tak
kab se daman ko dho rahi hai furaat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.