aaj tak uski mohabbat ka nasha tari hai
aaj tak us kī mohabbat kā nasha taarī hai
phuul baaqī nahīñ ḳhushbū kā safar jaarī hai
sehr lagtā hai pasīne meñ nahāyā huā jism
ye 'ajab niiñd meñ Duubī huī bedārī hai
aaj kā phuul tirī kokh se zāhir hogā
shāḳh-e-dil ḳhushk na ho ab ke tirī baarī hai
dhyān bhī us kā hai milte bhī nahīñ haiñ us se
jism se bair hai saa.e se vafā-dārī hai
dil ko tanhā.ī kā ehsās bhī baaqī na rahā
vo bhī dhuñdlā ga.ī jo shakl bahut pyārī hai
is tag-o-tāz meñ TuuTe haiñ sitāre kitne
āsmāñ jiit sakā hai na zamīñ haarī hai
koī aayā hai zarā aañkh to kholo 'shahzād'
abhī jaage the abhī sone kī tayyārī hai
aaj tak us ki mohabbat ka nasha tari hai
phul baqi nahin KHushbu ka safar jari hai
sehr lagta hai pasine mein nahaya hua jism
ye 'ajab nind mein Dubi hui bedari hai
aaj ka phul teri kokh se zahir hoga
shaKH-e-dil KHushk na ho ab ke teri bari hai
dhyan bhi us ka hai milte bhi nahin hain us se
jism se bair hai sae se wafa-dari hai
dil ko tanhai ka ehsas bhi baqi na raha
wo bhi dhundla gai jo shakl bahut pyari hai
is tag-o-taz mein TuTe hain sitare kitne
aasman jit saka hai na zamin haari hai
koi aaya hai zara aankh to kholo 'shahzad'
abhi jage the abhi sone ki tayyari hai
- Book : Deewar pe dastak (Pg. 867)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.