aaj us bazm mein yun dad-e-wafa di jae
aaj us bazm meñ yuuñ dād-e-vafā dī jaa.e
ai ġham-e-ishq tirī umr baḌhā dī jaa.e
mausam-e-ḳhanda-e-gul hai to zabāñ band rakkheñ
baat apnī bhī hañsī meñ na uḌā dī jaa.e
ishva-e-nāz-o-adā jaur o jafā makr o daġhā
kaise jī leñ jo har ik baat bhulā dī jaa.e
us ke ġham hī se hai har dard kā rishta ab tak
dil pe jab choT lage us ko duā dī jaa.e
jurm-e-ahbāb kī pursish bhī mujhī se hai 'shakīl'
mujh ko mere hī qusūroñ kī sazā dī jaa.e
aaj us bazm mein yun dad-e-wafa di jae
ai gham-e-ishq teri umr baDha di jae
mausam-e-KHanda-e-gul hai to zaban band rakkhen
baat apni bhi hansi mein na uDa di jae
ishwa-e-naz-o-ada jaur o jafa makr o dagha
kaise ji len jo har ek baat bhula di jae
us ke gham hi se hai har dard ka rishta ab tak
dil pe jab choT lage us ko dua di jae
jurm-e-ahbab ki pursish bhi mujhi se hai 'shakil'
mujh ko mere hi qusuron ki saza di jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.