aaj yunhi humse wo shikwa gila karne lage
aaj yūñhī ham se vo shikva gila karne lage
log us par jaane kyā kyā tabsira karne lage
vo mirī ma.asūmiyat ke mo'tarif ho jā.eñge
apne dil ko sang se jo aa.ina karne lage
chāñd jab niklā to jaane kaun yaad aayā hameñ
ham achānak jaane kis kā tazkira karne lage
aib ḳhud meñ dūsroñ meñ ḳhūbiyāñ aa.iiñ nazar
ham jo apnī zindagī kā tajziya karne lage
Dhang se chalnā zamīñ par aaj tak aayā nahīñ
go ḳhalā meñ murtasim ham naqsh-e-pā karne lage
ḳhud ko insāñ ke nishāne se bachā.eñ kis tarah
jānvar ādam-gazīda mashvara karne lage
dushmanoñ ne aaj jo dekhā mirā husn-e-sulūk
vo 'vafā' apnā nishāna ḳhud ḳhatā karne lage
aaj yunhi hum se wo shikwa gila karne lage
log us par jaane kya kya tabsira karne lage
wo meri masumiyat ke mo'tarif ho jaenge
apne dil ko sang se jo aaina karne lage
chand jab nikla to jaane kaun yaad aaya hamein
hum achanak jaane kis ka tazkira karne lage
aib KHud mein dusron mein KHubiyan aain nazar
hum jo apni zindagi ka tajziya karne lage
Dhang se chalna zamin par aaj tak aaya nahin
go KHala mein murtasim hum naqsh-e-pa karne lage
KHud ko insan ke nishane se bachaen kis tarah
jaanwar aadam-gazida mashwara karne lage
dushmanon ne aaj jo dekha mera husn-e-suluk
wo 'wafa' apna nishana KHud KHata karne lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.