Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aaj zara fursat pai thi aaj use phir yaad kiya

Nida Fazli

aaj zara fursat pai thi aaj use phir yaad kiya

Nida Fazli

MORE BYNida Fazli

    aaj zarā fursat paa.ī thī aaj use phir yaad kiyā

    band galī ke āḳhirī ghar ko khol ke phir ābād kiyā

    khol ke khiḌkī chāñd hañsā phir chāñd ne donoñ hāthoñ se

    rañg uḌaa.e phuul khilā.e chiḌiyoñ ko āzād kiyā

    baḌe baḌe ġham khaḌe hue the rasta roke rāhoñ meñ

    chhoTī chhoTī ḳhushiyoñ se ham ne dil ko shaad kiyā

    baat bahut ma.amūlī thī ulajh ga.ī takrāroñ meñ

    ek zarā zid ne āḳhir donoñ ko barbād kiyā

    dānāoñ baat na maanī kaam aa.ī nādānī

    sunā havā ko paḌhā nadī ko mausam ko ustād kiyā

    aaj zara fursat pai thi aaj use phir yaad kiya

    band gali ke aaKHiri ghar ko khol ke phir aabaad kiya

    khol ke khiDki chand hansa phir chand ne donon hathon se

    rang uDae phul khilae chiDiyon ko aazad kiya

    baDe baDe gham khaDe hue the rasta roke rahon mein

    chhoTi chhoTi KHushiyon se hi hum ne dil ko shad kiya

    baat bahut mamuli si thi ulajh gai takraron mein

    ek zara si zid ne aaKHir donon ko barbaad kiya

    danaon ki baat na mani kaam aai nadani hi

    suna hawa ko paDha nadi ko mausam ko ustad kiya

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    aaj zara fursat pai thi aaj use phir yaad kiya Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now