aaKHir aisi bhi kya KHata hai meri
āḳhir aisī bhī kyā ḳhatā hai mirī
kitnī taklīf-dah sazā hai mirī
tere maz.hab meñ āsthā hai mirī
tū bhī secular ho kāmnā hai mirī
mere siine se merā dil hī nahīñ
dhaḌkanoñ ko bhī le gayā hai mirī
pahle zaḳhmoñ pe zaḳhm detā hai
aur phir ḳhair māñgtā hai mirī
terī dīvānī saarī duniyā hai
tū mirī hī rahe duā hai mirī
merā hindostāñ badan hai mirā
aur punjab aatmā hai mirī
vo bhī apne hī man kā mālik hai
maiñ samajhtā thā māntā hai mirī
aaKHir aisi bhi kya KHata hai meri
kitni taklif-dah saza hai meri
tere mazhab mein aastha hai meri
tu bhi secular ho kaamna hai meri
mere sine se mera dil hi nahin
dhaDkanon ko bhi le gaya hai meri
pahle zaKHmon pe zaKHm deta hai
aur phir KHair mangta hai meri
teri diwani sari duniya hai
tu meri hi rahe dua hai meri
mera hindostan badan hai mera
aur punjab aatma hai meri
wo bhi apne hi man ka malik hai
main samajhta tha manta hai meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.