aaKHir ko ishq kufr se iman ho gaya
āḳhir ko ishq kufr se īmān ho gayā
maiñ but-parastiyoñ se musalmān ho gayā
mai to halāl hai jo piye Dhab se bāda-nosh
maiñ tauba kar ke aur pashemān ho gayā
rindān-e-be-riyā kī hai sohbat kise nasīb
zāhid bhī ham meñ baiTh ke insān ho gayā
us ġhunche meñ samā.ī hai vahshat ba-rang-e-bū
dil kitnī tangiyoñ pe bayābān ho gayā
lo ai buto suno ki vo 'dāġh'-e-sanam-parast
masjid meñ jā ke aaj musalmān ho gayā
aaKHir ko ishq kufr se iman ho gaya
main but-parastiyon se musalman ho gaya
mai to halal hai jo piye Dhab se baada-nosh
main tauba kar ke aur pasheman ho gaya
rindan-e-be-riya ki hai sohbat kise nasib
zahid bhi hum mein baiTh ke insan ho gaya
us ghunche mein samai hai wahshat ba-rang-e-bu
dil kitni tangiyon pe bayaban ho gaya
lo ai buto suno ki wo 'dagh'-e-sanam-parast
masjid mein ja ke aaj musalman ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.