aaKHir kya tum soch rahi ho
āḳhir kyā tum soch rahī ho
kyoñ itnā upset rahtī ho
chehre se kuchh aur ayaañ hai
baat magar kuchh batlātī ho
duniyā ko kuchh bhī kahne do
tum sach-much achchhī laḌkī ho
aao mil ke baañT leñ donoñ
dard akele kyoñ sahtī ho
merā dil bhī kuchh aḌiyal hai
thoḌā sā tum bhī ziddī ho
din meñ phone pe ghanToñ bāteñ
raat meñ jaldī so jaatī ho
aaKHir kya tum soch rahi ho
kyon itna upset rahti ho
chehre se kuchh aur ayan hai
baat magar kuchh batlati ho
duniya ko kuchh bhi kahne do
tum sach-much achchhi laDki ho
aao mil ke banT len donon
dard akele kyon sahti ho
mera dil bhi kuchh aDiyal hai
thoDa sa tum bhi ziddi ho
din mein phone pe ghanTon baaten
raat mein jaldi so jati ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.