aaKHirash aaraishon ki zindagi chubhne lagi
āḳhirash ārā.ishoñ kī zindagī chubhne lagī
uub sī hone lagī mujh ko ḳhushī chubhne lagī
maiñ na kahtā thā ki thoḌī c havas baaqī rakho
dekh lo ab is tarah āsūdgī chubhne lagī
ḳhvāb kā sailāb kyā guzrā nigāhoñ se mirī
ret palkoñ se jo chipkī niiñd bhī chubhne lagī
tīrgī kā dasht naapā raushnī ke vāste
raushnī phailī to mujh ko raushnī chubhne lagī
saḳht ek lamhe kī rau meñ aa ke tauba kar ga.e
halq meñ mere magar ab tishnagī chubhne lagī
ik pashemānī sī thī mujh ko mirī āvāz se
aur jab maiñ chup huā to ḳhāmushī chubhne lagī
ye bhī kyā hai bhed merā khol do tum bārhā
yaar 'saurabh' ab to terī muḳhbirī chubhne lagī
aaKHirash aaraishon ki zindagi chubhne lagi
ub si hone lagi mujh ko KHushi chubhne lagi
main na kahta tha ki thoDi c hawas baqi rakho
dekh lo ab is tarah aasudgi chubhne lagi
KHwab ka sailab kya guzra nigahon se meri
ret palkon se jo chipki nind bhi chubhne lagi
tirgi ka dasht napa raushni ke waste
raushni phaili to mujh ko raushni chubhne lagi
saKHt ek lamhe ki rau mein aa ke tauba kar gae
halq mein mere magar ab tishnagi chubhne lagi
ek pashemani si thi mujh ko meri aawaz se
aur jab main chup hua to KHamushi chubhne lagi
ye bhi kya hai bhed mera khol do tum barha
yar 'saurabh' ab to teri muKHbiri chubhne lagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.