aaKHirash dard ya dawa tha main
āḳhirash dard yā davā thā maiñ
zindagī tū batā ki kyā thā maiñ
maiñ kabhī ik jagah rukā hī nahīñ
aisā lagtā hai ki havā thā maiñ
haañ mujhe ḳhud ko zer karnā paḌā
apne rāste meñ aa rahā thā maiñ
ai 'qamar' ab mujhe bhī yaad nahīñ
āḳhirī baar kab hañsā thā maiñ
aaKHirash dard ya dawa tha main
zindagi tu bata ki kya tha main
main kabhi ek jagah ruka hi nahin
aisa lagta hai ki hawa tha main
han mujhe KHud ko zer karna paDa
apne raste mein aa raha tha main
ai 'qamar' ab mujhe bhi yaad nahin
aaKHiri bar kab hansa tha main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.