aaKHirash dur ho hi jate hain
āḳhirash duur ho hī jaate haiñ
mere dil ko jo log bhāte haiñ
lauT kar mai-kade se dīvāne
terī āñkhoñ meñ Duub jaate haiñ
ham se va.ada bhī ik nahīñ TuuTā
log to taare toḌ laate haiñ
mujh se kamzor par sitam kar ke
log qismat ko āzmāte haiñ
mere hisse meñ kuchh nahīñ 'sohil'
mere hisse kā log khāte haiñ
roz dariyā meñ Daal kar māchis
apne ghar ko miyāñ bachāte haiñ
ham bhī rātoñ ko jaag kar 'sohil'
'mīr' ke sher gungunāte haiñ
aaKHirash dur ho hi jate hain
mere dil ko jo log bhate hain
lauT kar mai-kade se diwane
teri aankhon mein Dub jate hain
hum se wada bhi ek nahin TuTa
log to tare toD late hain
mujh se kamzor par sitam kar ke
log qismat ko aazmate hain
mere hisse mein kuchh nahin 'sohil'
mere hisse ka log khate hain
roz dariya mein Dal kar machis
apne ghar ko miyan bachate hain
hum bhi raaton ko jag kar 'sohil'
'mir' ke sher gungunate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.