aaKHirash kar liya qubul hamein
āḳhirash kar liyā qubūl hameñ
us ne bheje haiñ laal phuul hameñ
ek laḌkī kā ḳhvāb haiñ ham bhī
koī samjhe nahīñ fuzūl hameñ
is qadar yaad kar rahe ho tum
ya.anī jāoge tum bhī bhuul hameñ
ham haiñ ḳhushbū havā ke dosh pe haiñ
jald kar lījiye vasūl hameñ
muḳhtasar kījiye kahānī ko
aap to de rahe haiñ tuul hameñ
raah terī nahīñ takeñge ham
shart ye bhī tirī qubūl hameñ
aur kuchh rañg sher meñ aa.e
zindagī aur kar malūl hameñ
aaKHirash kar liya qubul hamein
us ne bheje hain lal phul hamein
ek laDki ka KHwab hain hum bhi
koi samjhe nahin fuzul hamein
is qadar yaad kar rahe ho tum
yani jaoge tum bhi bhul hamein
hum hain KHushbu hawa ke dosh pe hain
jald kar lijiye wasul hamein
muKHtasar kijiye kahani ko
aap to de rahe hain tul hamein
rah teri nahin takenge hum
shart ye bhi teri qubul hamein
aur kuchh rang sher mein aae
zindagi aur kar malul hamein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.