Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aaKHiri ab KHatm hone ko hai bab-e-zindagi

Zebunnisaa Zaibii

aaKHiri ab KHatm hone ko hai bab-e-zindagi

Zebunnisaa Zaibii

MORE BYZebunnisaa Zaibii

    āḳhirī ab ḳhatm hone ko hai bāb-e-zindagī

    lo mukammal ho ga.ī 'zebī' kitāb-e-zindagī

    likh rahī huuñ naam tere intisāb-e-zindagī

    sirf hai sirf hai intiḳhāb-e-zindagī

    rāhatoñ ke aur ġhamoñ ke saare mausam tujh se haiñ

    jamāl-e-fikr-o-fan āftāb-e-zindagī

    apne apne har amal goshvāra saath hai

    ab tumhāre rū-ba-rū hogā hisāb-e-zindagī

    apnī apnī uljhanoñ meñ ab haiñ sab uljhe hue

    ab nahīñ baaqī kahīñ āñkhoñ meñ tāb-e-zindagī

    hai amal se mayassar rāhat-e-qalb-o-jigar

    bā-amal hai jo vahī hai kāmyāb-e-zindagī

    ab na iḳhlās-o-muravvat hai na logoñ meñ vafā

    kasrat-e-zar ne badal Daalā nisāb-e-zindagī

    aaKHiri ab KHatm hone ko hai bab-e-zindagi

    lo mukammal ho gai 'zebi' kitab-e-zindagi

    likh rahi hun nam tere intisab-e-zindagi

    sirf tu hai sirf tu hai intiKHab-e-zindagi

    rahaton ke aur ghamon ke sare mausam tujh se hain

    tu jamal-e-fikr-o-fan tu aaftab-e-zindagi

    apne apne har amal ka goshwara sath hai

    ab tumhaare ru-ba-ru hoga hisab-e-zindagi

    apni apni uljhanon mein ab hain sab uljhe hue

    ab nahin baqi kahin aankhon mein tab-e-zindagi

    hai amal hi se mayassar rahat-e-qalb-o-jigar

    ba-amal hai jo wahi hai kaamyab-e-zindagi

    ab na iKHlas-o-murawwat hai na logon mein wafa

    kasrat-e-zar ne badal Dala nisab-e-zindagi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now