aaKHiri ashk hai aur pahli aza-dari hai
āḳhirī ashk hai aur pahlī azā-dārī hai
majlis-e-hijr bapā karne kī tayyārī hai
jis kī jo marzī ho vo rakh ke chalā jaatā hai
merī duniyā hai ki ahbāb kī almārī hai
nuur ke haath pe bai'at hai mirī āñkhoñ kī
ab añdheroñ kī taraf dekhnā ġhaddārī hai
DhūñDne niklā huuñ maiñ us ke pasandīda phuul
merī is shahr meñ ye pahlī ḳharīdārī hai
raakh se le ke uThūñgā maiñ ḳhazāne kā surāġh
merā is aag meñ jal bujhnā adākārī hai
jhūTā khāne se bhī lag jaatī ho aadat jaise
ye mohabbat bhī tire dar kī namak-ḳhvārī hai
niim ke peḌ se karnā hai jinheñ shahd vasūl
un zamānoñ kī taraf merā safar jaarī hai
jaane kis shaḳhs ke paañv ko chhuā hai us ne
tez āñdhī meñ bhī sahrā pe sukūñ taarī hai
narm gāloñ pe sarakte hue sūraj kā ġhurūb
ye nazārā hai ki rangoñ kī dukāñ-dārī hai
baañT detā huuñ mohabbat ko faqīroñ meñ 'munīr'
ye bhī purkhoñ kī virāsat se vafādārī hai
aaKHiri ashk hai aur pahli aza-dari hai
majlis-e-hijr bapa karne ki tayyari hai
jis ki jo marzi ho wo rakh ke chala jata hai
meri duniya hai ki ahbab ki almari hai
nur ke hath pe bai'at hai meri aankhon ki
ab andheron ki taraf dekhna ghaddari hai
DhunDne nikla hun main us ke pasandida phul
meri is shahr mein ye pahli KHaridari hai
rakh se le ke uThunga main KHazane ka suragh
mera is aag mein jal bujhna adakari hai
jhuTa khane se bhi lag jati ho aadat jaise
ye mohabbat bhi tere dar ki namak-KHwari hai
nim ke peD se karna hai jinhen shahd wasul
un zamanon ki taraf mera safar jari hai
jaane kis shaKHs ke panw ko chhua hai us ne
tez aandhi mein bhi sahra pe sukun tari hai
narm galon pe sarakte hue suraj ka ghurub
ye nazara hai ki rangon ki dukan-dari hai
banT deta hun mohabbat ko faqiron mein 'munir'
ye bhi purkhon ki wirasat se wafadari hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.