aaKHiri bar zamane ko dikhaya gaya hun
āḳhirī baar zamāne ko dikhāyā gayā huuñ
aisā lagtā hai ki maiñ daar pe laayā gayā huuñ
sab mujhe DhūñDne nikle haiñ bujhā kar āñkheñ
baat niklī hai ki maiñ ḳhvāb meñ paayā gayā huuñ
peḌ bhī zard hue jaate haiñ mujh se mil kar
jaane maiñ kaisī udāsī se banāyā gayā huuñ
raah taktī hai kisī aur jagah ḳhush-ḳhabarī
maiñ magar aur hī raste se bulāyā gayā huuñ
kitnī mushkil se mujhe dhuup ne sarsabz kiyā
kitnī āsānī se bārish meñ jalāyā gayā huuñ
aaKHiri bar zamane ko dikhaya gaya hun
aisa lagta hai ki main dar pe laya gaya hun
sab mujhe DhunDne nikle hain bujha kar aankhen
baat nikli hai ki main KHwab mein paya gaya hun
peD bhi zard hue jate hain mujh se mil kar
jaane main kaisi udasi se banaya gaya hun
rah takti hai kisi aur jagah KHush-KHabari
main magar aur hi raste se bulaya gaya hun
kitni mushkil se mujhe dhup ne sarsabz kiya
kitni aasani se barish mein jalaya gaya hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.