aaKHiri hal tha yahi pesh-e-nazar jaane diya
āḳhirī hal thā yahī pesh-e-nazar jaane diyā
ek gahrī saañs lī phir ḳhvāb mar jaane diyā
sārbānā de gavāhī mujh ko pyārī thī anā
rakh liyā zād-e-safar aur ham-safar jaane diyā
hazrat-e-nāseh kī ḳhush-uftādgī pe daad hai
ḳhud jidhar se aa.e the sab ko udhar jaane diyā
is harīm-e-nāz meñ yuuñ be-mahābā guftugū
kuchh bharam rakkhā to hotā tum ko gar jaane diyā
tujh ko rokā jā rahā thā raushnī thī jab talak
shaam ke Dhalte samay sūraj ko ghar jaane diyā
aañkh sapne dekhtī thī āñsuoñ se kyoñ bharī
chāhtī to pūchh letī maiñ magar jaane diyā
dostā qismat na ho to koshisheñ bekār haiñ
sabr kā paimāna ham ne ḳhud hī bhar jaane diyā
dil musir thā bārhā kuchh jāñchne ko ruk ga.e
āḳhirash us ne hameñ bār-e-digar jaane diyā
aaKHiri hal tha yahi pesh-e-nazar jaane diya
ek gahri sans li phir KHwab mar jaane diya
sarbana de gawahi mujh ko pyari thi ana
rakh liya zad-e-safar aur ham-safar jaane diya
hazrat-e-naseh ki KHush-uftadgi pe dad hai
KHud jidhar se aae the sab ko udhar jaane diya
is harim-e-naz mein yun be-mahaba guftugu
kuchh bharam rakkha to hota tum ko gar jaane diya
tujh ko roka ja raha tha raushni thi jab talak
sham ke Dhalte samay suraj ko ghar jaane diya
aankh sapne dekhti thi aansuon se kyon bhari
chahti to puchh leti main magar jaane diya
dosta qismat na ho to koshishen bekar hain
sabr ka paimana hum ne KHud hi bhar jaane diya
dil musir tha barha kuchh jaanchne ko ruk gae
aaKHirash us ne hamein bar-e-digar jaane diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.