aaKHiri hichki lega kaun
āḳhirī hichkī legā kaun
merī jañg laḌegā kaun
merā lahja dhīmā hai
merī baat sunegā kaun
surḳh kabūtar zard muñDer
ye tārīḳh likhegā kaun
shāyad ham par vaqt aa.e
pahlā vaar karegā kaun
itnī ḳhāmoshī ke ba.ad
dil kī baat kahegā kaun
maiñ ne dāman jhaaḌ diyā
itnā dard sahegā kaun
anhonī kī honī dekh
dūsrī baar milegā kaun
aaKHiri hichki lega kaun
meri jang laDega kaun
mera lahja dhima hai
meri baat sunega kaun
surKH kabutar zard munDer
ye tariKH likhega kaun
shayad hum par waqt aae
pahla war karega kaun
itni KHamoshi ke baad
dil ki baat kahega kaun
main ne daman jhaD diya
itna dard sahega kaun
anhoni ki honi dekh
dusri bar milega kaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.