aaKHiri ummid bhi aankhon se chhalkae hue
āḳhirī ummīd bhī āñkhoñ se chhalkā.e hue
kaun sī jānib chale haiñ tere Thukrā.e hue
apnī galiyāñ apnī bastī bhuul baiThā hai vo chāñd
ek yug guzrā hai us ko nuur barsā.e hue
justujū vaale tumhārī raah meñ mar miT ga.e
ek muddat se tumheñ pardes haiñ bhaa.e hue
ai bahār-e-zindagī ab der hai kis baat kī
baasī phūloñ kī tarah haiñ baḳht murjhā.e hue
duur jā niklā kahīñ sūraj hamāre shahr kā
raat bhāgī aa rahī hai shaam ke saa.e hue
but banā baiThā rahā 'hasrat' huzūr-e-husn meñ
kah ga.e apnī zabāñ meñ ashk tharrā.e hue
aaKHiri ummid bhi aankhon se chhalkae hue
kaun si jaanib chale hain tere Thukrae hue
apni galiyan apni basti bhul baiTha hai wo chand
ek yug guzra hai us ko nur barsae hue
justuju wale tumhaari rah mein mar miT gae
ek muddat se tumhein pardes hain bhae hue
ai bahaar-e-zindagi ab der hai kis baat ki
basi phulon ki tarah hain baKHt murjhae hue
dur ja nikla kahin suraj hamare shahr ka
raat bhagi aa rahi hai sham ke sae hue
but bana baiTha raha 'hasrat' huzur-e-husn mein
kah gae apni zaban mein ashk tharrae hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.