aalam-e-rozgar ki mari hai zindagi
ālām-e-rozgār kī maarī hai zindagī
phir bhī hameñ aziiz hai pyārī hai zindagī
āsūdagān-e-ishrat-e-hastī ko kyā ḳhabar
ham jānte haiñ jaisī hamārī hai zindagī
itnā batā chuke haiñ ki kundan banā diyā
sho.aloñ meñ ġham ke ham ne nikhārī hai zindagī
gul shāḳh par kabhī kaf-e-gul-chīñ meñ hai kabhī
yaksāñ jahāñ meñ kis ne guzārī hai zindagī
har lamha zindagī kā amānat kisī kī hai
ham zindagī ke haiñ na hamārī hai zindagī
maqdūr ho to us ko badal leñ ajal se ham
aisī firāq-e-dost meñ bhārī hai zindagī
'maikash' hameñ kahāñ haram-o-dair kī ḳhabar
ham ne to mai-kade meñ guzārī hai zindagī
aalam-e-rozgar ki mari hai zindagi
phir bhi hamein aziz hai pyari hai zindagi
aasudagan-e-ishrat-e-hasti ko kya KHabar
hum jaante hain jaisi hamari hai zindagi
itna bata chuke hain ki kundan bana diya
shoalon mein gham ke hum ne nikhaari hai zindagi
gul shaKH par kabhi kaf-e-gul-chin mein hai kabhi
yaksan jahan mein kis ne guzari hai zindagi
har lamha zindagi ka amanat kisi ki hai
hum zindagi ke hain na hamari hai zindagi
maqdur ho to us ko badal len ajal se hum
aisi firaq-e-dost mein bhaari hai zindagi
'maikash' hamein kahan haram-o-dair ki KHabar
hum ne to mai-kade mein guzari hai zindagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.