aalam ka Dar hai jinhen aalam se pahle
ālām kā Dar hai jinheñ ālām se pahle
kar dete haiñ raushan vo diyā shaam se pahle
jo TuuT gayā rishta-e-ulfat hī to kyoñ log
lete haiñ tirā naam mere naam se pahle
mad.hosh jo ho jā.ūñ to hairat meñ na paḌnā
āñkhoñ se pilā dete haiñ vo jaam se pahle
hai kohkan-o-'qais' kī rūdād mujhe yaad
anjām se vāqif huuñ maiñ anjām se pahle
sayyād se hushiyār raheñ tā.ir-e-nau-ḳhez
daana bhī bichhā dete haiñ ye daam se pahle
maiñ kūcha-e-jānāñ meñ qadam rakhtā huuñ jab bhī
letā huuñ ijāzat dil-e-nākām se pahle
achchhoñ se pata chaltā hai insāñ ko buroñ kā
rāvan kā pata chal na sakā raam se pahle
'rizvāñ' na thā ehsās musāvāt-e-bashar kā
insān ko paiġhambar-e-islām se pahle
aalam ka Dar hai jinhen aalam se pahle
kar dete hain raushan wo diya sham se pahle
jo TuT gaya rishta-e-ulfat hi to kyon log
lete hain tera nam mere nam se pahle
madhosh jo ho jaun to hairat mein na paDna
aankhon se pila dete hain wo jam se pahle
hai kohkan-o-'qais' ki rudad mujhe yaad
anjam se waqif hun main anjam se pahle
sayyaad se hushiyar rahen tair-e-nau-KHez
dana bhi bichha dete hain ye dam se pahle
main kucha-e-jaanan mein qadam rakhta hun jab bhi
leta hun ijazat dil-e-nakaam se pahle
achchhon se pata chalta hai insan ko buron ka
rawan ka pata chal na saka ram se pahle
'rizwan' na tha ehsas musawat-e-bashar ka
insan ko paighambar-e-islam se pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.