aalam aalam juda juda hai na
aalam aalam judā judā hai nā
banda banda ḳhudā ḳhudā hai nā
bhejtā hai darūd jin pe ḳhudā
jin pe aalam fidā fidā hai nā
āḳhirash kā.enāt sab faanī
allah allāh sadā sadā hai nā
sunnateñ dost kī pasandīda
un kī har har adā adā hai nā
bārhā ma.asiyat se kar tauba
baazū baazū ladā ladā hai nā
maġhfirat ke khule khule dar haiñ
rahmatoñ kī ridā ridā hai nā
fazl-e-haq sāya-e-nabī māñge
'nūr' dar kā gadā gadā hai nā
aalam aalam juda juda hai na
banda banda KHuda KHuda hai na
bhejta hai darud jin pe KHuda
jin pe aalam fida fida hai na
aaKHirash kaenat sab fani
allah allah sada sada hai na
sunnaten dost ki pasandida
un ki har har ada ada hai na
barha masiyat se kar tauba
bazu bazu lada lada hai na
maghfirat ke khule khule dar hain
rahmaton ki rida rida hai na
fazl-e-haq saya-e-nabi mange
'nur' dar ka gada gada hai na
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.