Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aalam-e-ab-o-KHak-o-baad sirr-e-ayan hai tu ki main

Allama Iqbal

aalam-e-ab-o-KHak-o-baad sirr-e-ayan hai tu ki main

Allama Iqbal

MORE BYAllama Iqbal

    Interesting Fact

    Baal-e-Gibril

    ālam-e-āb-o-ḳhāk-o-bād sirr-e-ayāñ hai ki maiñ

    vo jo nazar se hai nihāñ us jahāñ hai ki maiñ

    vo shab-e-dard-o-soz-o-ġham kahte haiñ zindagī jise

    us sahar hai ki maiñ us azaañ hai ki maiñ

    kis numūd ke liye shaam o sahar haiñ garm-e-sair

    shāna-e-rozgār par bār-e-girāñ hai ki maiñ

    kaf-e-ḳhāk o be-basar maiñ kaf-e-ḳhāk o ḳhud-nigar

    kisht-e-vajūd ke liye āb-e-ravāñ hai ki maiñ

    aalam-e-ab-o-KHak-o-baad sirr-e-ayan hai tu ki main

    wo jo nazar se hai nihan us ka jahan hai tu ki main

    wo shab-e-dard-o-soz-o-gham kahte hain zindagi jise

    us ki sahar hai tu ki main us ki azan hai tu ki main

    kis ki numud ke liye sham o sahar hain garm-e-sair

    shana-e-rozgar par bar-e-giran hai tu ki main

    tu kaf-e-KHak o be-basar main kaf-e-KHak o KHud-nigar

    kisht-e-wajud ke liye aab-e-rawan hai tu ki main

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now