aalam-e-ku-e-yar baqi hai
ālam-e-kū-e-yār baaqī hai
āshiqoñ kā dayār baaqī hai
'mīr' kā kho chuke ye bad-qismat
aur sab kā mazār baaqī hai
bazm se terī aa.e haiñ uTh kar
aah ab tak ḳhumār baaqī hai
da.avā-e- ishq hai kiyā ham ne
haif dil meñ qarār baaqī hai
ġhuncha-o-bāġh raah taake haiñ
ab ke aao bahār baaqī hai
apnī tanhā.iyāñ to gin lī haiñ
vahshatoñ kā shumār baaqī hai
ḳhāna-e-dil meñ rahtī vīrānī
tāqche par ġhubār baaqī hai
āl-e-haidar 'murād' hai nasabī
maddāh-e-zulfiqār baaqī hai
aalam-e-ku-e-yar baqi hai
aashiqon ka dayar baqi hai
'mir' ka kho chuke ye bad-qismat
aur sab ka mazar baqi hai
bazm se teri aae hain uTh kar
aah ab tak KHumar baqi hai
dawa-e- ishq hai kiya hum ne
haif dil mein qarar baqi hai
ghuncha-o-bagh rah take hain
ab ke aao bahaar baqi hai
apni tanhaiyan to gin li hain
wahshaton ka shumar baqi hai
KHana-e-dil mein rahti virani
taqche par ghubar baqi hai
aal-e-haidar 'murad' hai nasabi
maddah-e-zulfiqar baqi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.