ishq mein jaanna zaruri hai
'ishq meñ jānñā zarūrī hai
kyā nahīñ aur kyā zarūrī hai
kaam lījiye dimāġh se lekin
dil se bhī mashvara zarūrī hai
dār-e-zulmat meñ raushnī ke liye
nusḳha-e-kīmiyā zarūrī hai
chheḌ kar chhoḌ ne meñ ḳhatra hai
saañp ko mārnā zarūrī hai
rishta rakhiye masarratoñ se magar
ġham se bhī rābta zarūrī hai
ḳhāmushī achchhī chiiz hai lekin
vaqt par bolnā zarūrī hai
jo bhī patthar-sifat haiñ un se zarā
ā.īno fāsla zarūrī hai
aarzū hai agar gulāboñ kī
shāḳh-e-gul se vafā zarūrī hai
'ishq mein jaanna zaruri hai
kya nahin aur kya zaruri hai
kaam lijiye dimagh se lekin
dil se bhi mashwara zaruri hai
dar-e-zulmat mein raushni ke liye
nusKHa-e-kimiya zaruri hai
chheD kar chhoD ne mein KHatra hai
sanp ko marna zaruri hai
rishta rakhiye masarraton se magar
gham se bhi rabta zaruri hai
KHamushi achchhi chiz hai lekin
waqt par bolna zaruri hai
jo bhi patthar-sifat hain un se zara
aaino fasla zaruri hai
aarzu hai agar gulabon ki
shaKH-e-gul se wafa zaruri hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.