aalam ranj-o-alam hai KHair ho
aalam rañj-o-alam hai ḳhair ho
yā ḳhudā kaisā sitam hai ḳhair ho
ashk tere jhūTe haiñ lekin mujhe
e'tibār-e-chashm-e-nam hai ḳhair ho
dekh kar tujh ko kahā mahtāb ne
kyā adā kyā pech-o-ḳham hai ḳhair ho
mil gayā mujh ko patā manzil kā par
raste meñ bait-us-sanam hai ḳhair ho
us ke hoñToñ ko chhuā to yuuñ lagā
chāshnī-e-zahr-e-ġham hai ḳhair ho
maiñ huuñ ḳhasta-hāl faisal kyā karūñ
merā dushman tāza-dam hai ḳhair ho
aalam ranj-o-alam hai KHair ho
ya KHuda kaisa sitam hai KHair ho
ashk tere jhuTe hain lekin mujhe
e'tibar-e-chashm-e-nam hai KHair ho
dekh kar tujh ko kaha mahtab ne
kya ada kya pech-o-KHam hai KHair ho
mil gaya mujh ko pata manzil ka par
raste mein bait-us-sanam hai KHair ho
us ke honTon ko chhua to yun laga
chashni-e-zahr-e-gham hai KHair ho
main hun KHasta-haal faisal kya karun
mera dushman taza-dam hai KHair ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.