aalam se fuzun tera aalam nazar aata hai
aalam se fuzūñ terā aalam nazar aatā hai
har husn muqābil meñ kuchh kam nazar aatā hai
chamkā hai muqaddar kyā is tīra-nasībī kā
sūraj bhī shab-e-ġham kā parcham nazar aatā hai
hai terī tamannā kā bas ek bharam qaa.em
ab varna mire dil meñ kyā dam nazar aatā hai
tanhā nahīñ rah paatā sahrā meñ bhī dīvāna
jab ḳhaak uḌātā hai aalam nazar aatā hai
ai 'zeb' mujhe terī taḳh.īl kī maujoñ meñ
hushyārī o mastī kā sañgam nazar aatā hai
aalam se fuzun tera aalam nazar aata hai
har husn muqabil mein kuchh kam nazar aata hai
chamka hai muqaddar kya is tira-nasibi ka
suraj bhi shab-e-gham ka parcham nazar aata hai
hai teri tamanna ka bas ek bharam qaem
ab warna mere dil mein kya dam nazar aata hai
tanha nahin rah pata sahra mein bhi diwana
jab KHak uData hai aalam nazar aata hai
ai 'zeb' mujhe teri taKHil ki maujon mein
hushyari o masti ka sangam nazar aata hai
- Book : zartaab (Pg. 251)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.