aam ho faiz-e-bahaaran to maza aa jae
aam ho faiz-e-bahārāñ to mazā aa jaa.e
chaak hoñ sab ke garebāñ to mazā aa jaa.e
vā.izo maiñ bhī tumhārī hī tarah masjid meñ
bech duuñ daulat-e-īmāñ to mazā aa jaa.e
kaisī kaisī hai shab-e-tār yahāñ chīñ-ba-jabīñ
sub.h ik roz ho ḳhandāñ to mazā aa jaa.e
sāqiyā hai tirī mahfil meñ ḳhudāoñ kā hujūm
mahfil-afroz ho insāñ to mazā aa jaa.e
aam ho faiz-e-bahaaran to maza aa jae
chaak hon sab ke gareban to maza aa jae
waizo main bhi tumhaari hi tarah masjid mein
bech dun daulat-e-iman to maza aa jae
kaisi kaisi hai shab-e-tar yahan chin-ba-jabin
subh ek roz ho KHandan to maza aa jae
saqiya hai teri mahfil mein KHudaon ka hujum
mahfil-afroz ho insan to maza aa jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.