aamada rakkhen chashm-o-dil saman-e-hairani karen
āmāda rakkheñ chashm-o-dil sāmān-e-hairānī kareñ
kyā jāniye kis vaqt vo nazāra farmānī kareñ
bahr-e-balā hai mauj par qahr-e-qazā hai auj par
haiñ kāh-e-sāmāñ musta.id tā nā-gurezānī kareñ
aa.ī hai raat aisī danī hai har charāġh afsurdanī
ai dil bayā ai dil bayā kuchh sho.ala-sāmānī kareñ
haañ haañ dikhā.eñge zarūr ham vahshat-e-dil kā vafūr
pahle ye shahr-e-dasht-o-dar takmīl-e-vīrānī kareñ
ai āshiqāñ ai āshiqāñ aayā hai amar-e-nā-gahāñ
jo log haiñ nazāra jū vo mashq-e-hairānī kareñ
vo sham.a hai dar-e-tāq-e-dil raushan haiñ sab āfāq-e-dil
uftādgān-e-ḳhāk uTho aflāk gardānī kareñ
hai bas-ki teġh us kī ravāñ kamyāb haiñ nā-kustagāñ
sab sarfaroshoñ se kaho chande farāvānī kareñ
ik nāsihānā arz hai dariyāoñ par ye farz hai
dil kī tarah har lahar meñ tajdīd-e-tuġhyānī kareñ
aise gharoñ meñ ahl-e-dil rahte nahīñ haiñ mustaqil
tabdīl ye dīvār-o-dar uslūb-e-vīrānī kareñ
aamada rakkhen chashm-o-dil saman-e-hairani karen
kya jaaniye kis waqt wo nazara farmani karen
bahr-e-bala hai mauj par qahr-e-qaza hai auj par
hain kah-e-saman mustaid ta na-gurezani karen
aai hai raat aisi dani hai har charagh afsurdani
ai dil baya ai dil baya kuchh shoala-samani karen
han han dikhaenge zarur hum wahshat-e-dil ka wafur
pahle ye shahr-e-dasht-o-dar takmil-e-virani karen
ai aashiqan ai aashiqan aaya hai amar-e-na-gahan
jo log hain nazara ju wo mashq-e-hairani karen
wo shama hai dar-e-taq-e-dil raushan hain sab aafaq-e-dil
uftadgan-e-KHak uTho aflak gardani karen
hai bas-ki tegh us ki rawan kamyab hain na-kustagan
sab sarfaroshon se kaho chande farawani karen
ek nasihana arz hai dariyaon par ye farz hai
dil ki tarah har lahar mein tajdid-e-tughyani karen
aise gharon mein ahl-e-dil rahte nahin hain mustaqil
tabdil ye diwar-o-dar uslub-e-virani karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.