aamoKHte ka jal zaban se lipaT gaya
āmoḳhte kā jaal zabāñ se lipaT gayā
badlī havā to harf kā pāñsa palaT gayā
mujh se nikal ke haibat-e-shab kā thā sāmnā
saaya vufūr-e-ḳhauf se palTā chimaT gayā
sad talḳhiyoñ kī shāḳh pe baiThī thī mauj-e-nīm
bargad se aa ke jhoñkā havā kā palaT gayā
thī shahr-e-inhisār meñ phislan galī galī
maiñ laḌkhaḌā gayā mirā ḳhachchar rapaT gayā
tārīk be-kanār samundar paḌā rahā
manzar tamām ġhaar ke andar simaT gayā
aamoKHte ka jal zaban se lipaT gaya
badli hawa to harf ka pansa palaT gaya
mujh se nikal ke haibat-e-shab ka tha samna
saya wufur-e-KHauf se palTa chimaT gaya
sad talKHiyon ki shaKH pe baiThi thi mauj-e-nim
bargad se aa ke jhonka hawa ka palaT gaya
thi shahr-e-inhisar mein phislan gali gali
main laDkhaDa gaya mera KHachchar rapaT gaya
tarik be-kanar samundar paDa raha
manzar tamam ghaar ke andar simaT gaya
- Book : Kimiya-e-samri (Pg. 40)
- Author : Mehdi Jafar
- Publication : Rujhan Publication (1977)
- Edition : 1977
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.