aana hai to aa jao yak aan mera sahab
aanā hai to aa jaao yak aan mirā sāhab
ik aan ke haiñ ham bhī mehmān mirā sāhab
muddat se tumhārā maiñ sau jaan se huuñ 'āshiq
kyuuñ jaan ke hote ho anjān mirā sāhab
ġhusse ho uThe mujh par kyuuñ tīr-o-kamāñ le kar
maiñ hone ko baiThā huuñ qurbān mirā sāhab
nāgāh sanam yaaro mujh se jo milā aa kar
mujh par ye ḳhudā kā hai ehsān mirā sāhab
ye banda ho yā tum ho vaañ ġhair na ho koī
is Dhab ke hai milne kā armān mirā sāhab
kuchh yaad nahīñ mujh ko kāfir huuñ musalmāñ huuñ
hai ġham meñ tire yaañ tak nisyān mirā sāhab
jo 'ishq kī manzil ke haiñ ahl-e-kamāl un kā
hai shukr-o-shikāyat meñ nuqsān mirā sāhab
saaf ā.īna-e-dil meñ raushan hai jamāl us kā
bar-'aks hai ik 'ālim hairān mirā sāhab
sau tarah kahūñ dil kā ahvāl huzūr us ke
mere to nahīñ rahne ausān mirā sāhab
ham 'ishq kī daulat se ik kunj-e-qanā.at meñ
karte haiñ faqīrāna guzrān mirā sāhab
yaañ had se qadam bāhar rakhne koī paayā hai
is jurm meñ sar leñ haiñ tāvān mirā sāhab
munsif ho 'muhib' dil meñ is baat ko Tuk soche
jab be-sar-o-sāmāñ ho insān mirā sāhab
kyā saath le aayā thā le jā.egā kyā yaañ se
phir chāhiye kis ḳhātir sāmān mirā sāhab
mā'nī meñ vo kāTeñ haiñ auqāt bahut be-ġham
jo shaḳhs ba-sūrat haiñ uryān mirā sāhab
shamshīr-e-barahna ke jauhar nazar aate haiñ
insāf kī āñkhoñ ke darmiyān mirā sāhab
aana hai to aa jao yak aan mera sahab
ek aan ke hain hum bhi mehman mera sahab
muddat se tumhaara main sau jaan se hun 'ashiq
kyun jaan ke hote ho anjaan mera sahab
ghusse ho uThe mujh par kyun tir-o-kaman le kar
main hone ko baiTha hun qurban mera sahab
nagah sanam yaro mujh se jo mila aa kar
mujh par ye KHuda ka hai ehsan mera sahab
ye banda ho ya tum ho wan ghair na ho koi
is Dhab ke hai milne ka arman mera sahab
kuchh yaad nahin mujh ko kafir hun musalman hun
hai gham mein tere yan tak nisyan mera sahab
jo 'ishq ki manzil ke hain ahl-e-kamal un ka
hai shukr-o-shikayat mein nuqsan mera sahab
saf aaina-e-dil mein raushan hai jamal us ka
bar-'aks hai ek 'alim hairan mera sahab
sau tarah kahun dil ka ahwal huzur us ke
mere to nahin rahne ausan mera sahab
hum 'ishq ki daulat se ek kunj-e-qanaat mein
karte hain faqirana guzran mera sahab
yan had se qadam bahar rakhne koi paya hai
is jurm mein sar len hain tawan mera sahab
munsif ho 'muhib' dil mein is baat ko Tuk soche
jab be-sar-o-saman ho insan mera sahab
kya sath le aaya tha le jaega kya yan se
phir chahiye kis KHatir saman mera sahab
ma'ni mein wo kaTen hain auqat bahut be-gham
jo shaKHs ba-surat hain uryan mera sahab
shamshir-e-barahna ke jauhar nazar aate hain
insaf ki aankhon ke darmiyan mera sahab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.