aana usi ka bazm se jaana usi ka hai
aanā usī kā bazm se jaanā usī kā hai
kis ko pata nahīñ ki zamānā usī kā hai
ai matl.a-e-malāl hamāre liye bhī kuchh
tāroñ bharī ye raat ḳhazānā usī kā hai
is ghar meñ koī chiiz kisī aur kī nahīñ
ye phuul ye charāġh fasānā usī kā hai
ik ahd kar liyā thā kabhī bhūl-chūk meñ
sāñsoñ kā ye vabāl bahānā usī kā hai
ab is galī ke moḌ se aage na jā.eñge
kahte haiñ ās-pās Thikānā usī kā hai
aana usi ka bazm se jaana usi ka hai
kis ko pata nahin ki zamana usi ka hai
ai matla-e-malal hamare liye bhi kuchh
taron bhari ye raat KHazana usi ka hai
is ghar mein koi chiz kisi aur ki nahin
ye phul ye charagh fasana usi ka hai
ek ahd kar liya tha kabhi bhul-chuk mein
sanson ka ye wabaal bahana usi ka hai
ab is gali ke moD se aage na jaenge
kahte hain aas-pas Thikana usi ka hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.