Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aanchal mein nazar aati hain kuchh aur si aankhen

Afzaal Naveed

aanchal mein nazar aati hain kuchh aur si aankhen

Afzaal Naveed

MORE BYAfzaal Naveed

    āñchal meñ nazar aatī haiñ kuchh aur āñkheñ

    chhā jaatī haiñ ehsās pe billor āñkheñ

    rahtī hai shab-o-roz meñ bārish tirī yaad

    ḳhvāboñ meñ utar jaatī haiñ ghanghor āñkheñ

    paimāne se paimāne talak bāda-e-la.alīñ

    āġhāz se anjām talak daur āñkheñ

    le kar kahāñ rahtī rahī motī vo sūrat

    le kar kahāñ phirtā rahā meñ gor āñkheñ

    vaqt aane pe aa.ī na nazar gardish-e-aflāk

    baiThā rahā le kar maiñ kisī aur āñkheñ

    tabdīlī tire dekhte rahne se ye aa.ī

    bin baiThīñ tasalsul se tire tuur āñkheñ

    bil-farz nikal jā.ūñ kisī andhe safar par

    bāñdhe hue rakhtī haiñ mujhe Dor āñkheñ

    har baar kināre se lagā kar chalī jaa.eñ

    dhuñdlāhaToñ meñ ġhamza-e-filfaur āñkheñ

    kyā jaane 'naved' aur kar jaa.eñ ujālā

    qirtās-e-farozāñ pe tirī kor āñkheñ

    aanchal mein nazar aati hain kuchh aur si aankhen

    chha jati hain ehsas pe billor si aankhen

    rahti hai shab-o-roz mein barish si teri yaad

    KHwabon mein utar jati hain ghanghor si aankhen

    paimane se paimane talak baada-e-lalin

    aaghaz se anjam talak daur si aankhen

    le kar kahan rahti rahi moti si wo surat

    le kar kahan phirta raha mein gor si aankhen

    waqt aane pe aai na nazar gardish-e-aflak

    baiTha raha le kar main kisi aur si aankhen

    tabdili tere dekhte rahne se ye aai

    bin baiThin tasalsul se tere tur si aankhen

    bil-farz nikal jaun kisi andhe safar par

    bandhe hue rakhti hain mujhe Dor si aankhen

    har bar kinare se laga kar chali jaen

    dhundlahaTon mein ghamza-e-filfaur si aankhen

    kya jaane 'nawed' aur hi kar jaen ujala

    qirtas-e-farozan pe teri kor si aankhen

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now