aandhi chali to gard se har chiz aT gai
āñdhī chalī to gard se har chiiz aT ga.ī
dīvār se lagī tirī tasvīr phaT ga.ī
lamhoñ kī tez dauḌ meñ maiñ bhī sharīk thā
maiñ thak ke ruk gayā to mirī umr ghaT ga.ī
is zindagī kī jañg meñ har ik mahāz par
mere muqāble meñ mirī zaat DaT ga.ī
sūraj kī barchhiyoñ se mirā jism chhid gayā
zaḳhmoñ kī sūliyoñ pe mirī raat kaT ga.ī
ehsās kī kiran se lahū garm ho gayā
sochoñ ke dā.eroñ meñ tirī yaad baT ga.ī
aandhi chali to gard se har chiz aT gai
diwar se lagi teri taswir phaT gai
lamhon ki tez dauD mein main bhi sharik tha
main thak ke ruk gaya to meri umr ghaT gai
is zindagi ki jang mein har ek mahaz par
mere muqable mein meri zat DaT gai
suraj ki barchhiyon se mera jism chhid gaya
zaKHmon ki suliyon pe meri raat kaT gai
ehsas ki kiran se lahu garm ho gaya
sochon ke daeron mein teri yaad baT gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.