aandhi mein charagh jal rahe hain
āñdhī meñ charāġh jal rahe haiñ
kyā log havā meñ pal rahe haiñ
ai jaltī ruto gavāh rahnā
ham nañge paañv chal rahe haiñ
kohsāroñ pe barf jab se pighlī
dariyā tevar badal rahe haiñ
miTTī meñ abhī namī bahut hai
paimāne hunūz Dhal rahe haiñ
kah de koī jā ke tā.eroñ se
chyūñTī ke bhī par nikal rahe haiñ
kuchh ab ke hai dhuup meñ bhī tezī
kuchh ham bhī sharar ugal rahe haiñ
paanī pe zarā sambhal ke chalnā
hastī ke qadam phisal rahe haiñ
kah de ye koī musāfiroñ se
shaam aa.ī hai saa.e Dhal rahe haiñ
gardish meñ nahīñ zamīñ hī 'aḳhtar'
ham bhī dabe paañv chal rahe haiñ
aandhi mein charagh jal rahe hain
kya log hawa mein pal rahe hain
ai jalti ruto gawah rahna
hum nange panw chal rahe hain
kohsaron pe barf jab se pighli
dariya tewar badal rahe hain
miTTi mein abhi nami bahut hai
paimane hunuz Dhal rahe hain
kah de koi ja ke taeron se
chyunTi ke bhi par nikal rahe hain
kuchh ab ke hai dhup mein bhi tezi
kuchh hum bhi sharar ugal rahe hain
pani pe zara sambhal ke chalna
hasti ke qadam phisal rahe hain
kah de ye koi musafiron se
sham aai hai sae Dhal rahe hain
gardish mein nahin zamin hi 'aKHtar'
hum bhi dabe panw chal rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.