aandhiyan shor machati hain ki tari hui raat
āñdhiyāñ shor machātī haiñ ki taarī huī raat
aag raushan huī siine meñ to jaarī huī raat
ajnabī shahr meñ kuchh ḳhauf sā mahsūs huā
oḌh lī maiñ ne ḳhamoshī se utārī huī raat
apne siine se guzarte hue har sub.h ke baad
lauT aatī hai mire jism meñ haarī huī raat
jaane kis raat ke hoñToñ se pukārā gayā maiñ
aaj bhī gūñjtī rahtī hai pukārī huī raat
bijliyāñ dauḌtī phirtī haiñ rag-o-pai meñ tamām
zehn meñ reñgtī rahtī hai guzārī huī raat
aandhiyan shor machati hain ki tari hui raat
aag raushan hui sine mein to jari hui raat
ajnabi shahr mein kuchh KHauf sa mahsus hua
oDh li main ne KHamoshi se utari hui raat
apne sine se guzarte hue har subh ke baad
lauT aati hai mere jism mein haari hui raat
jaane kis raat ke honTon se pukara gaya main
aaj bhi gunjti rahti hai pukari hui raat
bijliyan dauDti phirti hain rag-o-pai mein tamam
zehn mein rengti rahti hai guzari hui raat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.