aandhiyan uTThin fazaen dur tak kajla gain
āñdhiyāñ uTThīñ fazā.eñ duur tak kajlā ga.iiñ
ittifāqan do charāġhoñ kī laveñ Takrā ga.iiñ
aah ye mahkī huī shāmeñ ye logoñ ke hujūm
dil ko kuchh biitī huī tanhā.iyāñ yaad aa ga.iiñ
is fazā meñ sarsarātī haiñ hazāroñ bijliyāñ
is fazā meñ kaisī kaisī sūrateñ sañvlā ga.iiñ
ai ḳhizāñ vālo! ḳhizāñ vālo! koī socho ilaaj
ye bahāreñ paañv meñ zanjīr sī pahnā ga.iiñ
phir kisī ne chheḌ dī uzr-e-jahāñ kī dāstāñ
dil pe jaise bhīgī bhīgī badliyāñ sī chhā ga.iiñ
aandhiyan uTThin fazaen dur tak kajla gain
ittifaqan do charaghon ki lawen Takra gain
aah ye mahki hui shamen ye logon ke hujum
dil ko kuchh biti hui tanhaiyan yaad aa gain
is faza mein sarsaraati hain hazaron bijliyan
is faza mein kaisi kaisi suraten sanwla gain
ai KHizan walo! KHizan walo! koi socho ilaj
ye bahaaren panw mein zanjir si pahna gain
phir kisi ne chheD di uzr-e-jahan ki dastan
dil pe jaise bhigi bhigi badliyan si chha gain
- Book : kulliyat-e-zahiir (Pg. 67)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.