aane jaane ka silsila kariye
aane jaane kā silsila kariye
aap bhī kuchh na kuchh kahā kariye
mil bhī saktā hai koī bichhḌā huā
duur tak bas yūñhī chalā kariye
aap bīnā.ī kā tasalsul haiñ
aap bas aañkh meñ rahā kariye
avvalīñ rizq haiñ du'ā.eñ mirā
mere haq meñ sabhī du'ā kariye
aane jaane ka silsila kariye
aap bhi kuchh na kuchh kaha kariye
mil bhi sakta hai koi bichhDa hua
dur tak bas yunhi chala kariye
aap binai ka tasalsul hain
aap bas aankh mein raha kariye
awwalin rizq hain du'aen mera
mere haq mein sabhi du'a kariye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.