aane wali sadi ke lagte hain
aane vaalī sadī ke lagte haiñ
pañkh ujle parī ke lagte haiñ
ba.ad muddat ke shahr kī chhat par
kuchh sitāre ḳhushī ke lagte haiñ
Duubī kashtī ke tairte chappū
hausle zindagī ke lagte haiñ
haath ḳhūnī kisī darinde ke
paañv to aadmī ke lagte haiñ
koī chehra bhī chhū nahīñ paate
aks sab aarsī ke lagte haiñ
yuuñ utartī haiñ dil meñ vo nazreñ
bol se ḳhāmushī ke lagte haiñ
haath pe haath dhar ke baiThī shaam
rañg ye bebasī ke lagte haiñ
aane wali sadi ke lagte hain
pankh ujle pari ke lagte hain
baad muddat ke shahr ki chhat par
kuchh sitare KHushi ke lagte hain
Dubi kashti ke tairte chappu
hausle zindagi ke lagte hain
hath KHuni kisi darinde ke
panw to aadmi ke lagte hain
koi chehra bhi chhu nahin pate
aks sab aarsi ke lagte hain
yun utarti hain dil mein wo nazren
bol se KHamushi ke lagte hain
hath pe hath dhar ke baiThi sham
rang ye bebasi ke lagte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.