aangan-angan jari dhup
āñgan-āñgan jaarī dhuup
mere ghar bhī aarī dhuup
kyā jaane kyuuñ jaltī hai
sadiyoñ se bichārī dhuup
kis ke ghar tū Thahregī
tū to hai banjārī dhuup
ab to jism pighalte haiñ
jaarī jā ab jaarī dhuup
chhup ga.ī kaale bādal meñ
mausam se jab haarī dhuup
ho jaatī hai sard kabhī
aur kabhī chiñgārī dhuup
aaj bahut hai añdhiyārā
chupke se aa jaarī dhuup
aangan-angan jari dhup
mere ghar bhi aari dhup
kya jaane kyun jalti hai
sadiyon se bichaari dhup
kis ke ghar tu Thahregi
tu to hai banjari dhup
ab to jism pighalte hain
jari ja ab jari dhup
chhup gai kale baadal mein
mausam se jab haari dhup
ho jati hai sard kabhi
aur kabhi chingari dhup
aaj bahut hai andhiyara
chupke se aa jari dhup
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.