aangan ke daraKHton ke liye kuchh bhi nahin hai
āñgan ke daraḳhtoñ ke liye kuchh bhī nahīñ hai
duniyā meñ buzurgoñ ke liye kuchh bhī nahīñ hai
haq chhīn ke letī hai yahāñ charb-zabānī
ḳhāmosh parindoñ ke liye kuchh bhī nahīñ hai
chaḌhte hue sūraj kī parastār hai duniyā
miTTī ke charāġhoñ ke liye kuchh bhī nahīñ hai
har ātish-e-namrūd ko gulzār banānā
ḳhāliq ke ḳhalīloñ ke liye kuchh bhī nahīñ hai
'ayyār qalam-kāroñ kī ḳhātir haiñ ḳhitābāt
ḳhud.dār adīboñ ke liye kuchh bhī nahīñ hai
mujrim ko 'adālat se dilā denā rihā.ī
'ālam' ye vakīloñ ke liye kuchh bhī nahīñ hai
aangan ke daraKHton ke liye kuchh bhi nahin hai
duniya mein buzurgon ke liye kuchh bhi nahin hai
haq chhin ke leti hai yahan charb-zabani
KHamosh parindon ke liye kuchh bhi nahin hai
chaDhte hue suraj ki parastar hai duniya
miTTi ke charaghon ke liye kuchh bhi nahin hai
har aatish-e-namrud ko gulzar banana
KHaliq ke KHalilon ke liye kuchh bhi nahin hai
'ayyar qalam-karon ki KHatir hain KHitabaat
KHuddar adibon ke liye kuchh bhi nahin hai
mujrim ko 'adalat se dila dena rihai
'alam' ye wakilon ke liye kuchh bhi nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.