aani jaani har mohabbat hai chalo yun hi sahi
aanī jaanī har mohabbat hai chalo yuuñ hī sahī
jab talak hai ḳhūb-sūrat hai chalo yuuñ hī sahī
ham kahāñ ke devtā haiñ bevafā vo haiñ to kyā
ghar meñ koī ghar kī zīnat hai chalo yuuñ hī sahī
vo nahīñ to koī to hogā kahīñ us kī tarah
jism meñ jab tak harārat hai chalo yuuñ hī sahī
maile ho jaate haiñ rishte bhī libāsoñ kī tarah
dostī har din kī mehnat hai chalo yuuñ hī sahī
bhuul thī apnī farishta aadmī meñ DhūñDnā
aadmī meñ ādamiyyat hai chalo yuuñ hī sahī
jaisī honī chāhiye thī vaisī to duniyā nahīñ
duniyā-dārī bhī zarūrat hai chalo yuuñ hī sahī
aani jaani har mohabbat hai chalo yun hi sahi
jab talak hai KHub-surat hai chalo yun hi sahi
hum kahan ke dewta hain bewafa wo hain to kya
ghar mein koi ghar ki zinat hai chalo yun hi sahi
wo nahin to koi to hoga kahin us ki tarah
jism mein jab tak hararat hai chalo yun hi sahi
maile ho jate hain rishte bhi libason ki tarah
dosti har din ki mehnat hai chalo yun hi sahi
bhul thi apni farishta aadmi mein DhunDna
aadmi mein aadamiyyat hai chalo yun hi sahi
jaisi honi chahiye thi waisi to duniya nahin
duniya-dari bhi zarurat hai chalo yun hi sahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.