aankh ashk bahane pe hai mamur minal-ishq
aañkh ashk bahāne pe hai māmūr minal-ishq
aur hoñT haiñ chup rahne pe majbūr minal-ishq
dāman pe tire dāġh-e-mohabbat nahīñ ik bhī
lagtā hai miyāñ tū mujhe maqhūr minal-ishq
chaltī hai uThā kar tirī ḳhushbu-e-badan ko
merī to har ik saañs hai mazdūr minal-ishq
maj.hūl hai mat.ūn hai mal.ūn hai vo shaḳhs
jo hijr se ghabrā ke ho mafrūr minal-ishq
'ammār' kā īmān hai chāhat ke jahāñ meñ
hotā hai vahī jo bhī ho manzūr minal-ishq
aankh ashk bahane pe hai mamur minal-ishq
aur honT hain chup rahne pe majbur minal-ishq
daman pe tere dagh-e-mohabbat nahin ek bhi
lagta hai miyan tu mujhe maqhur minal-ishq
chalti hai uTha kar teri KHushbu-e-badan ko
meri to har ek sans hai mazdur minal-ishq
majhul hai matun hai malun hai wo shaKHs
jo hijr se ghabra ke ho mafrur minal-ishq
'ammar' ka iman hai chahat ke jahan mein
hota hai wahi jo bhi ho manzur minal-ishq
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.