aankh barsi hai tere nam pe sawan ki tarah
aañkh barsī hai tire naam pe sāvan kī tarah
jism sulgā hai tirī yaad meñ īñdhan kī tarah
loriyāñ dī haiñ kisī qurb kī ḳhvāhish ne mujhe
kuchh javānī ke bhī din guzre haiñ bachpan kī tarah
is bulandī se mujhe tū ne navāzā kyuuñ thā
gir ke maiñ TuuT gayā kāñch ke bartan kī tarah
mujh se milte hue ye baat to sochī hotī
maiñ tire dil meñ samā jā.ūñgā dhaḌkan kī tarah
ab zuleḳhā ko na bad-nām karegā koī
us kā dāman bhī darīda mire dāman kī tarah
muntazir hai kisī maḳhsūs sī aahaT ke liye
zindagī baiThī hai dahlīz pe birhan kī tarah
aankh barsi hai tere nam pe sawan ki tarah
jism sulga hai teri yaad mein indhan ki tarah
loriyan di hain kisi qurb ki KHwahish ne mujhe
kuchh jawani ke bhi din guzre hain bachpan ki tarah
is bulandi se mujhe tu ne nawaza kyun tha
gir ke main TuT gaya kanch ke bartan ki tarah
mujh se milte hue ye baat to sochi hoti
main tere dil mein sama jaunga dhaDkan ki tarah
ab zuleKHa ko na bad-nam karega koi
us ka daman bhi darida mere daman ki tarah
muntazir hai kisi maKHsus si aahaT ke liye
zindagi baiThi hai dahliz pe birhan ki tarah
- Book : kulliyat -e-Murtaza Barlas (Pg. 119)
- Author : Murtaza Barlas
- Publication : Alhamd Publication Lahore (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.